Hostgator se Hosting Kaise Kharide: Hostgator india hosting is samay sabse achhi hosting hai, agar ham comparision ke hisab se kahe to, Hosting me aap Bluehost ka bhi use kar sakte hai wah bhi achi hosting hai. Achisoch par bhi hostgator hosting atteched hai. Agar aap hostgator hosting ko check karna chahte hai to aap hosting 1 mahine ke liye bhi le sakte hai agar aapko webhost achha lage to aap use upgrade kar sakte hai, agar aapko hosting sahi nhi lag rahi hai to aap koi aur hosting dusre hosting par bhi transfer apna pura data kar sakte hai.
Agar aap pro blogger hai aur kam rupye kharch karna chahte hai to aap hostgator ke alawa Godaddy ka webhost le. Godady ka sever bhi ham dusri website kaisekre par use kar rhe hai, usme bhi koi problem nhi hai, aur wah aapko cheap (sasta) bhi padega.
Hostgator India Hosting Kaise Purchase Kare
Agar aap hosting purchase karne ke liye aapke paas domain hona jaroori hai. Agar aapke paas domain nhi hai to aap godaddy ya bigrock se domain kharid sakte hai. Agar aapke paas domain hai to aap aage padhiye.
- Blogspot Par Free Blog Kaise Banaye
- Godaddy se Domain Kaise Kharide
Step 1: sabse pahle aap hostgator.in Website par jaye. yha aapko Get Started Now par click karna hai.
Step 2: Get Started Now par click karte hi aap pahuche Neeche agli slide par.
Step 3: Yha par kisi ek ko select kare jo aapko achha lag rha hai. Hatchling Plan me aap ek hi domain use kar sakte hai, usme dusra vikalp nhi hai. Agar aapke paas ek se adhik domain hai to aap Baby ya Business Plan choose kare Yani Buy now par click kare. Ab aap agli slide par pahunchte ho.
Step 4: Aaapko upper dikh rha hai “I have an Existing name” yanhi yha pannel par aapne apne domain ko dalna hai aur continue par click karna hai.
Step 5: Domain dalne ke baad aap pahunche order summery par, Yha se aapk dekhna hai ki aap kitne samay ke liye hosting lena chahte hai agar aap 1 mahine ke liye lena chahte hai to use select kare aur continue kar de. Agar aap 1 saal ke liye hosting lenge to 1 mahine ke according sashti milegi. Continue karne ke baad agli slide par pahunchte hai.
Step 6: Upper slide par aap dekh rhe hai ki aapko login ke liye kah rha hai, agar aapka hostgator par account hai to aap username password dalkar login kar sakte hai aur agar nhi hai to create an account kare. Create An account karne ke baad aap neeche slide par pahunchte ho. Yha par apni puri contact infomation dale.
Step 7: Account create karne ke baad aap agli slide payment options par pahunchte ho, jaha aapne option choose karna hai kisi ek option ko choose karne ke baad “i agree to the new Customer Agreement” checkbox check kare. Aur pay now par click kare.
step 8: pay now par click karte hi aap neeche slide par pahunch jate ho yha debit card hai to debit card ko select kar dekhe aapka card, visa, mastercard kon sa hai dekh le, usakte baad card number dale, fir name of card usake baad cvv number jo aapke card ke beck side 3 digit number hoga. apne card ki expiry date dalkar pay now par click kare.
step 9: Pay now par click karne ke baad aapko bank se ek message aayega jisame 6 digit code hoga use aapne code verification me dalkar submit karna hai. dhyan rhe is bich aapne apne browser ko refresh nhi karna hai.
Lo Ji aapka hostgator hosting purachase ho gai hai. Agar aapko kahi par bhi koi problem aa rhi ho to aap hame comment box ya contact page ke jariye question kar sakte hai.
3 Comments
sir blog pe hosgator ki hosting kar sakte hai
yes rahul aap kar sakte hai.
Sir some blogger hostgator se hosting kharidne par coupon code deara 55% tak discount dilane ka dava karte hai kya in coupon ka use dwara host gator.In se hosting kharidna chaiye