Domain Ko Hostgator Server Par Kaise: Domain kharidne ke baad aapko achhe se server ki jaroorat hoti hai, jisamai aapka pura data means files save hoti hai, aapke website ka database banta hai. Server me aap Hostgator ka server lena chahte hai to aapko domain ko server par connect karna jaroori padta hai, kyunki jab aap domain kharidte hai to company setting me apne nameserver rakhti hai. Examply aapne godady se domain liya hai to aap server ke liye hostgator par gaye to aapko godaddy se nameserver change karke hostgator nameserver dalne hote hai.. iski charcha jari rahegi aage dekhiye kaise aap apne domain ko server par change kar sakte hai.
New Domain ko Hostgator Web-host Se kaise Jode
domain ko hostgator se connect karna jyada mushkil kaam nhi hai, Dekhe step by step –
Step 1: sabse pahle aap godaddy.com me sign in kare. sign in hone par aapko neeche slide dikhegi jha aap domain par click karna hai. domain ke uppar click kare.
Step 2: Doamin ke upper click karne ke baad aapko neeche slide dekhegi jha aapko Manage DNS par Click karna hai.
Step 3: Manage DNS par click karte hi aap agle slide par chale jate hai, jaise aapko neeche image me dikh rha hai yha aap nameserver ke manage par click karna hai.
Step 4: Nameserver ke manage par click karte hi aap Agle slide par pahunch jate hai yha aapka standard aur godaddy ke apne nameserver milenge. Aaap Custom select karke “Add Nameserver” karna hai. Kya aapko nameserver mile? Aapne hostgator se jab server kharida hoga to usake turnt baad hostgator wale aapko puri details aapke gmail me bhejte hai.
Wha aapko aapke cpanel ki details aur nameserver milenge. Un dono nameserver ko aapne yha paste karna hai aur ok karne ke baad save karna hai.
Agar aapki gmail account me name-server nahi aaye to aap hostgator.in me sign in kare aur step 6 par jaye.
Step 5: Yha aapko manage orders par click karke List/Search Orders par click karna hai, jaise aapko neeche image me dikh raha hai.. aage next step 6.
Step 6: Aab aapko apne domain name me click karna hai, click karte hi aapka new tab khulega.
Step 7: Domain par click karte hi aap neeche image me pahunch jate hai. yha aapko nameserver details par click karna hai.
Step 8: Click karte hi aapko name server mil jayenge. Ab in nameserver ko copy karke godaddy ke nameserver me paste karke save karna hai, jo aapko upper Step 4 me bataya gya hai.
Note: Aapke nameserver change karne Hostgator 24 hours ka time leti hai server update hone me so uske baad aap apne cpanel ko open karke wordpress ya koi aur cms intall kar sakte hai.
Agar aapko apne domain ko change karne me koi problem aa rahi ho to aap hame comment box ke jariye contect kar sakte hai. Aapki har ek problem solve hogi.
6 Comments
Bro ek bat janni h. … Mene WordPress.com par free blog banaya ta or usme mere 500+ followers hai or mje pata ni ta ki Adsence k liye WordPress.org use krte hai…. To mene domain or hostgater se hosting to leli par kya jo mere WordPress.com par followers hai vo wapis kese aenge kese WordPress.com k m sare posts or followers hostgater par apne new WordPress par la skta hu??? Agr ho skta h esa to kese plz guide m!
blog ko redirect kar sakte ho .. ya fir us blog ke last me apne visitor ko kahe aur adhik jankari ke liye “apni site ka link” par jaye..
Or hosting site p wordpress install krne ke bad.. … M hosting wala WordPress m khaa se or kese open kara karunga??? Ya mje hosting wali site p login krke WordPress kholna pada karega?
Aap apne site ka name likhke wp-admin kare usme aap username and password dalkar login kar sakte hai. jaise “www.achisoch.com/wp-admin”
bhai aap ye batao ki aap kisi ki help karne ke liye blog likhte ho ya jyada musibat me dalne ke liye, apne samjhane ka tarika chang karo, app ne cha he kitni bhi achi jankari di ho par ise samzna bhout jyaa muskil hai,
aapko kya pareshani hai aap yha bata sakte hain, waise hamne yha puri achhi tarah se koi bhi jankari di hai.