Google Analytics Me Account Kaise Banate Hai: Anaytics se hame pata lagta hai ki jo blog hamane banaya hai uspar koi visitors aa rahe hai ya nhi agar aa rahe hai to kitne aa rahe hai ye sab janane ke liye hame Google Analytics ki jaroorat hoti hai, Google Analytics ke jariye ham pata kar sakte hai ki hamara website (blog) kis country se khul rha, kis topic ko log jyada open kar rahe hai. So isase aap google adsense ke liye bhi apply kar sakte hai jisase aapko adsense milta hai agar aapke website me ek din ke 500 se 1000 visitor aate hai to Google aapko adsense provide karta hai. Dekhe kaise kare analytics ke liye apply.
Google Analytics ko Blog Website Me Kaise Jode
Google Analytics ke liye aapko sirf ek Gmail Account ki jaroorat hoti hai agar aapke paas Gmail account nhi hai to aap yha click kare- Gmail Account par Email Id Kaise Banaye.
Step 1: Sabse pahle aap www.google.com/analytics link par click kare aur usake baad sign in kare. Sign in karne ke baad google analytics jha par red gole kiya hai uspar click kare.
Step2: Usake baad Aapko email id dalne ko milega email id dalne ke baad password dale. fir neeche screen par jaye.
Step 3: Yha aapko sign up par click karna hai usake baad aap neeche screen par pahunch jate ho. Jaha aapko apne account name, website name, website ka url, Industry category, country, dalni hai usake baad aapko get tracking par click karna hai.
Step 4: Get tracking par click karte hi aapko neeche screen milti hai jise aapne Accept karna hai.
Step 5: Jaise hi aap i accept par click karte hai aapko neeche scree par tracking id mil jati hai. Ise aapne copy karke apne blog ke dashboard par save karna hai.
Google Analytics Code Ko WordPress Blog Me Kaise Add Kare
Step6: Apne Blog ke dashboard ko open kare aur uske setting me other par click kare. yha apne tracking id ko paste karke save setting kare. Ab aapka blog google analytic par jud chuka hai aur aap apne blog ki sari jankari yha prapt kar sakte hai.
Google Analytics par Blog Ki Jankari Kaise Le
Google.com/analytics par jakar signin kare usake baad aap apne account par click karke “all web site data” ko click kare, usake baad Real Time click karke Overview dekh sakte hai. Aap upper right side se par day overview bhi dekh sakte hai.
Yha aap dekh rhe hai date wise bhi aap dekh sakte hai kon se din kitna traffic aapki site par aaya. Agar aapko dekhna hai ki aapke kis topic par sabse jyada traffic aa rha to aap Analytics ko scroll kare aur neeche behavior par click karke overview dekh sakte hai.
Google Analytics Se Ham Kya-Kya Dekh Sakte Hai?
Google Analytic se aap bahut kuchh jaan sakte hai, hame bhi iski puri jankari nhi hai but jitna hai wo aapko bata rhe hai.
- Google analytics se aap jaan sakte hai kitne visitor aapki website par ek time kitne online hai.
- Visitor kis topic ko pad rahe hai.
- Kon visiotor kaha se online hai aur kya pad raha hai.
- Visitor ke accesories ka bhi pata lagta hai kisase wo online hai mobile, Tablet, ya fir Desktop se.
- Kon sa Page aapka kitni baar dekha gya
- Aapki website par kitne new visitor aaye kitne returning aaye.
- Aapki website ka bounce rate kitna hai.
- Visitor ne kya keyword type kiya jisase wo aapki site par aaya.
Aise hi aapko bahut si jankari google analytics se milti hai.
I hope Hamare dwara aapki achhe se help hogi, agar aapko fir bhi koi problem aa rhi ho to aap hame Contact kare ya comment box me jane.
2 Comments
good information
Thank you, sir ji