मोटापा एक ऐसी बीमारी है जो अपने साथ बीमारियों का पूरा पॅकेज लेकर आती है। आज की व्यस्त जीवनशैली, तनाव और खान-पान को लेकर लापरवाही मोटापा होने का प्रमुख कारण है। अगर आप अपने मोटापन से परेशान हैं तो आप मोटापा कम कर सकते है ये जानकार की क्या रीज़न है कि आपका वजन ज़्यादा जल्दी बढ़ रहा है। हम आपको यहा कुछ प्रमुख कारण बता रहे हैं जिनका परहेज करके आप पतले हो सकते है। वजन बढ़ने का साइन्स सीधा-साधा है यदि आप खाने-पीने के रूप में जितनी कैलोरीज ले रहे है उतनी बर्न नहीं करेंगे तो आपका वेट बढ़ना तय है। वास्तव में कैलोरी ही हमारे शरीर में फट के रूप में इकतहा हो जाती है और हमारा वजन बढ़ जाता है।
वजन बढ़ने के प्रमुख कारण
आज के समय में बडे-बूढ़े-बच्चे सभी मोटापे की चपेट में आ रहे हैं। ऐसा बेवजह और अचानक नहीं हो रहा। बल्कि इसके पीछे भी कई ठोस कारण छुपे हुए हैं। मोटापे के कारण ही बच्चों को नई-नई बीमारियां हो रही हैं।
Khan-Pan
Weight badhne ka sabse main reason hota hai hamara khan-pan. Yadi hamare khane me calorie ki matra adhik hogi to vajan badhane ke chances jyada se jyada hote hai. Adhik tala hua, Fast food, Deshi Ghee, Cold-drink etc peene se sharir me jaroorat se jyada Calories banti hai. Jise ham bina extra effort ke burn nhi kar pate hai jisase hamara vajan din pratidin badhta jata hai.
Age
Age (umra) ke sath weight ka badhana to real baat hai aisa isliye hota hai jaise jaise hamari age badhti hai hamari manspeshiya Fat me convert hoti jati hai. Fat ki matra badhne ke karan Diabetes aur Hypertension hone ka khatra badh jata hai. Age badhne ke sath-sath hamari Metabolism me bhi kami aa jati hai, Is vajah se women me vajan badhne ke sambhawna jyada badh jati hai.
Genetic
Yadi aapke mata-pita me se kisi ek ka bhi vajan bahut jyada hai to aapka vajan bhi jyada hone ki sambhawna badh jati hai. Iske alawa Genetics ka asar aapko kitni bhukh lagti hai aapke sharir me kitna Far aur Muscle hai par bhi padhta hai. Yah vyakti ke Metabolic Rate aur uska sharir Inactive hone par kitni calorie jalata hai is par bhi effect dalta hai.
Inactive Hona
Agar aapki lifestyle aisi hai ki aapko jyada hath-paw nhi hilane padhte to aapka weight badhna jaroori hai. Normally Fat un logo ko jyada badhta hai jo din bhar ghar par hi rahte hai ya din bhar chair par hi baithe rahte hai aur koi physical work nhi karte. Yadi aap ek Treadmill ya ek Zym cycle afford kar sake aur niymit roop se use kare to kafi asardar hoga.
Gender
Gender ke hisab se bhi vajan ka asar padhta hai, normally women men se kam Calories use karti hai. Isliye unka vajan badhane ki sambhavna jyada hoti hai. Women ke body me fat ki matra men ki apesha adhik hoti hai. Ek normal weight ki healthy woman ke sharir me 30% fat content hota hai. Jabki aise hi ek purush me yah matra sirf 15% hoti hai.
Psychological Reason
Kai baar weight badhne ka karan Psychological hota hai. Emotional problems ya Depression ki vajah se vyakti jyada khane peene lagta hai. Jis vajah se vajan jaldi badh jata hai.
Pregnancy
Pregnancy ke dauran weight ka badhna ek normal baat hai. Aam taur par kisi mahila ka vajan 5 se 10 kg tak badh jata hai. Jo ki shishu kup poshan pahunchane ke liye jaroori hai.
Medicines
Kuchh khas tarah ki dawaiya aapka weight badha sakti hai jaise Antidepressants ya Corticosterroids, BIrthday control Pills khane se bhi vajan 3 KG tak badh sakta hai.
Bimari
Bimari me bhi weight badh sakta hai, kyunki is dauran insaan ki gati vidhiyo bahut kam ho jati hai aur body me fat badh sakta hai.
यहाँ पढ़ें: पेट की चर्बी और वजन कम करने के आसान उपाय और घरेलू नुस्खे