Adho Mukha Svanasana in Hindi: Adho Mukha Svanasana YOGA ka ek aisa aasan hai jo aapke pet ki bevajah charbi ko khatm karta hai. Agar aapko apne sharir ke MOTAPE ko khatm kar ek strong banani hai to aapko jaroori hai ki aap Adho Mukha Svanasana yoga kare. Is aasan se hamara blood pressure thik rahta hai. Is aasan ko purane time me hamare GURU kiya karte the, jisase unka sharir bahut hi santulit rahta tha aur we lambe time tak bimar bhi nhi padhte the.
Adho Mukha Svanasana Kaise Kare – Steps by Steps
Is yoga ke jariye aap apne dimag ko shant kar sakte hai, gande soch ko door kar sakte hai. Yadi aap is Exercise ko rojana karte hai to aapka blood circum sahi tarike se aapka pachan achhe se hoga. Aaiye aaj aapko ham batane ja rahe hai kaise kare is yoga ko?
VIDHI:-
- Sabse pahle aap Zameen me ek dari ya kambal bicha le.
- Ab zameen par aap pet ke bal let jaye, pairo se lekar sir ko seedha rakhe.
- Gahri saans ko lete huye apni kohni ka sahara lete time apni kalai zameen ke upar is tarah se rakhe jisase aapki kohni aur kandhe ek hi seedh me ho.
- Ab apne kandho aur gardan ko seedh kaskar rakhe aur fir dheere se apni aidiyo ke upar khada hona shuru kar de aur apni jangho ko bhi seedh rakhe jaise ki pic me dikhaya gya hai.
- Pura sharir gardan se lekar aidiyo tak sharir ek hi seedh me ho.
- Is aasan ko 10 second tak karte rakhe aur fir saans ko chhodte huye wapas apne aasan par baith jaye.
Adho Mukha Svanasana Fayde Benefits in Hindi
1. Is aasan ko karne se sharir lachila ho jata hai aur badan me dard nhi rahta hai.
2. Aidiyo aur pidaliyo ke naso, tantuwo aur manspeshiyo ko failata hai.
3. isase na kewal reedh ki haddiyo me aaram milta hai balki peeth ke nichle, madhya aur upari bhag me ho rahe dard se aaram deta hai.
4. High blood presser ki problem wale rogi ko ye aasan niymit roop se karna chahiye.
5. Is aasan ki help se pachan ki problem me sudhar laya ja sakta hai.
6. Yah sir ki blood circum ko sucharu roop se chalane me help karta hai. Is aasan ko ham agar kare to silence, mansik, thakavat, awsaad aur anindra ki shikayat se chhutkara milega.
7. Yah aasan karte time hath aur pair par bhar badhta hai isliye ise karne se haddi ki kamjori door hoti hai.
8. Adhomukh Swasan karne se hamare self confidence bhi badhta hai.
9. isase chanti ki manspeshiya majboot hoti hai.
Savdhani: Gardan me chot ya koi problem hone par is exercise ko na kare, Kamar me chot hone par bhi ise na kare.