Bacho Ko Healthy Kaise Banaye: Video Game khelna wa junk food khana aaj ke bacho ki aadat ban chuki hai. Ham chahe jitni bhi koshish kar le in cheejo se unhe door rakhna namunkin sa ho gya hai. Aise unhealthy aadate aapke bache ki sehat ko bigad sakti hai aur aapka bachha kamjor ya motape ka shikar ho sakta hai. Fit rakhakr ham bimariyo se lad sakte hai. Karate, swimming wa running jaise activity aapke bachhe ki sehat me sudhar la sakti hai aur rogo se ladne ki chhamta ko bhi badhati hai. In khelo ki or apne bahhe ke dhyan ko aakarshit kare. Aapki help ke liye hamne neech kuchh best tips diye hai.

How to Make Kids To Fit and Healthy in Hindi
Tip 1: padhai ke sath-sath apne bachhe ko kisi aur activity me bhag lene ke liye forse kare. Unki ruchi aur auni pratibha ke anusar kisi sports coaching center me unka dakhila karaye. Is tarah unke health me sudhar hoga aur we tanav mukt bhi rahenge.
Tip 2: Yadi mata-pita shuru se hi basket ball ya bedmintan jaise khelo me ruchi rakhte hai to apne bachho ko bhi is khel ka hissa banaye. Bacho ki khel-khood me dilchaspi badhane ke liye aaj bahut se mata-pita khud khelna start kar chuke hai. young age ke bacho ke sath apne rishte ko majboot banane ka yah ek acha tarika hai.
Tip 3: Yadi bachha galti kare to use dantkar sahi rah dikhana har mata-pita ka hak hai. Jitne time ke liye bacha indoor games khelta hai utne hi time ke liye use outdoor games bhi khelne chahiye. Bado ko ye baat samjhayi ja sakti hai lekin chhoto par thodi se sakhti baratni pad sakti hai.
Tip 4: Dosto ka sath sabko ajeeb hota hai. Yadi aapka bachha akele kisi class me shamil nahi hona chahta to uska koi dost aapki is muskil ka hal ban sakta hai. Halaki, iske liye aapko uske mata-pita se baat karne hogi.
Tip 5: Mata-Pita ki jimmedari hai ki we apne bacho ko kisi bhi cheej ya aadat se jude fayde ya nuksaan ko ache se samjhaye. Bachpan me dali gai sahi aadate unki sehat ke roop me jhalakti hai. SO ham sab apne bacho ko bistar par pade huye nahi balki fields me khelta dekhana pasand karte hai.