Saas – Bahu Ke Rishte Ko Kaise Sambhale: Shadi ke baad hone wale badlao me sabse main hai dulhan ko ek naya parivar milta hai khud ke ghar ke mahaul se ekdum alag aur agar same bhi ho to bhi alag isliye ho jata hai kyunki wo shadi ke baad ek zimmedar mahila ke roop me parivar ka aham hissa rahti hai. so baat kuchh alag ho jati hai, aise me ho sakta hai aapke naye family ke sath aapko adujust hone me time lage lekin aisa nhi aap apne sasural walo ko manage nhi kar sakti hai?
Aap kar sakti hai basarte aap kuchh bato ka dhyan rakhe aur waise bhi sabse jyada teekha jo rishta hota hai kisi bhi sasural wale rishto me wo hota hai. Saas-bahu ka rishta jis par bahut sari Riwayat (रिवायत) prachalit hai lekin wo koi thumb rule ki tarah nhi hai ki har saas aur bahu ke beech hamesha nok jhok hoti hhi hai, kyunki samajhdari aur aapsi samajh par kayam kiye rishte aur rishto ko banaye rakhna apne aap me ek kala hai aur aapke andar yah honi chahiye to chaliye jante hai kis tarah se aap saas aur baki parivar walo ko manage kar sakti hai Kuchh hindi tips ke jariye.
Kaise Banaye Saas-sasur se acha Rishta सास बहू के रिश्ते
Ek bahu apna pura jivan bina kisi swarth ke parivaar aur apno ke prati apne zimmedario ko pura karne main laga deti hain. Toh kisi bhi surat main ek bahu si mahan aur sreshta koi bhi nahi ho sakta. Toh aaiye jante hain ki ek acchi bahu main kaun kaun se gun hone chahiye.
mother in law Se na Rakhe Jaroorat se Jyada Ummid
Dekha gya hai Aksar bahuye aapki Mother-In-Law ki tulna apne maa se karti hai aur kisi bhi time kisi khas mauke par wo sochti hai ya jatati hai unki jagah is time agar unki maa hoti to wo thoda alag tarike se cheejo ko unke liye karti lekin aapko bata du yah sabse bada mool karan hai aapke saas bahut ke rishte me khatas aane ka kyunki pahli baat to aap kisi ki tulna karte hai kisi anya se aur wo bhi is tarah rishto me to khatas aana jayaj hai, aur fir wo aapki maa nhi hai jinhone aapko isne saalo se pala hai posa hai aur aapki har aadat aur jaroorat ke bare me unhe sahi se bhan ho kyunki aapke parents aapke sath saalo se hai wo abhi -abhi aapki zindagi ka hissa bani hai to unhe thoda to time lagta hai, apne bahut ke sath attachement banane me.
Saas Ke Sath Banaye Alag Rishta – Make new chemistry with Mother-in-Law
Aapki saas aapke husband ki maa hai aur jahir si baat hai agar aapke pati aapse acha bartav karte hai wo aapke liye ache hai to unme jo saskar hai jivan ke prati samajh hai wo unki maa ki vajah se hi hai. To unke prati ek saaman ka najriya rakhe aur wo aapse badi hai aapse adhik jivan ka anubhav hai, sath hi aapse alag jamane ki bhi hai to ho sakta hai unke aachar-vichar aapse alag ho aur aap unse sahmat nhi ho to koi baat nhi lekin virodh jatana jaroori nhi hai, aap chutki bajake kisi ko yun hi nhi badal sakte hai aur na hi uski soch badal sakte hai. jabki prem se yah sambhav hai. Pahle aapko un bato ko dhyan me rakhte huye unke dil me jagah banani padhti hai jinhe wo pasand karti hai aur unhone apni aane wali bahu se ummid rakhi thi. Wo retire ho rahi hai to thoda to aaram lena aur farman dena unka hak banta hai lekin aap ek acha wala attachment unke sath kayam karke is rishte ko dostana roop de sakti hai.
Kuchh Aise Ghule Mile Aap Ghar Me
Pure ghar me aapke Monther-in-Law aur Father-in-Law ke alawa devar-bhabhi-nanad aur chhote bade bachhe hote hai aur ho sakta hai aapke saas-sasur agar purane vicharo ke hai to aapke devar ya nanad ya bache aapke jamane ke ho aur agar kisi tarah ki situation me ho aapki nahi sunte hai kyunki aap abhi nai hai aur wo apne bacho ke liye jyada attachment rakhti hai to aap direct unse kuchh bhi kahne ki bajay aap ghar ke baki members ki help le sakti hai.
Iske liye jaroori hai aap ghar me devar ya bhabhi ke sath khule aur rishta kayam kare. Aisa bhi ho sakta hai Saas-sasur me ek thoda akhand behavior ka bhi ho aur dusra thoda normal ho to isliye koshish kare aap unse sabse pahle meljol badhaye jo normal hai aur aapko lagta hai wo aapko samajh sakta hai kyunki jab bhi parivar me kisi baat ko lekar koi jhagda hota hai ya anban hoti hai to yahi wo member aapke favor lekar cheeje sahi kar sakta hai, lekin is baat ka dhyan rakhe ki ho agar aise halat bante hai aur aapka koi favor leta hai to aise me aakramak ravaiyya nhi rakhte huye galti na hote huye bhi apni galti accept kar le kyunki aisa hone par do benefits hote hai.
Ek to baat wahi khatm hone ke aasar hote hai aur dusra aapke galti accept karne se jo aapka favor le rha hai unki najro me aap behtar jagah payengi, aur baki gharwalo ko bhi aapse jalan nhi hogi, ki unke family ka koi member aapka himayti ho rha hai. Ye kuchh chhoti-chhoti bate hai par asal zindagi me bahut mayne rakhti hai. Isliye jaroori hai parivar me aap bado ke sath sath chhoto se bhi rishte kayam kare. Bacho ke liye aap unki pasand napasand ka khyal rakhte huye unki pasan ka kuchh bana sakti hai aur unke homework me help kar sakti hai.
Parivar Walo Ki Interest Jane – Know Hobbies of Family members
Family me har ek ko satisfy kar pana aur sabhi ko thode time me samajh pana muskil hota hai aur naye logo ke sath jo aapke jamane ke hai jyada dikkat nhi aati hai kyunki aap unse kuchh bhi khulkar kah sakte hai lekin jo bujurg hai wo thode zindagi ho sakte hai kyunki bahut hasil kiya hota hai aur wah kuchh ziddi aur usulo wala bana deti hai aur ho sakta hai paise kharch karne ke mamale me wo aapse adhik baar sochte ho isliye aap koshish kare ki aap wo bate unke bare me jane jo unhe pasand hoti hai. Jaise aapke sasur ko bagwani pasand hai to aap us kaam me unki help kar sakti hai, aur aapki MOther-in-Law ko agar achar ya kuchh aur kamo me maja aata hai to aap us tarah ke kaam me unki help kar sakti hai.