Chikungunya Ke Lakshan aur Gharelu Nuskhe: Chikungunya bukhar ek virus bukhar hai jo edij machhar iszipty ke katne ke karan hota hai. Chikungunya aur dengu ke lakshan lagbhag saman hote hai. Is bukhar jodo me dard, sir dard, ulti aana, jee machlanae ke lakshan ubhar sakte hai. Machhar katne ke lagbhag 12 din me Chikungunya ke lakshan ubharte hai. Doctors ka manana hai ki dawaiyo ke sath hi agar gharelu upchar ka sahara bhi liya jaye to is bimari ko jald thik kiya ja sakta hai.

Chikungunya Ke Lakshan
Chikungunya me jodo ke dard ke sath-sath bukhar aata hai aur skin khusk ho jati hai. Chikungunya sidhe aadmi se aadmi me nhi failta hai. Yah Bukhar ek sankramit vyakti ko aidij machhar ke katne ke baad healthy vyakti ko katne se failta hai. Chikungunya se pidit mahila ko apne bache ko rog dene ka jokhim hota hai.
1. Ulti aana
2. Ek se Teen din tak bukhar ke sath jodo me dard aur sujan hona.
3. Kampkapi aur thand ke sath bukahr ka achanak badhna
4. Headche (Sir Dard)
Chikungunya ke Gharelu Ilaj
Chikungunya hone par doctor ki salah lena sabse jaroori hai. sath hi Chikungunya se pidit rogi ko ye upay apnane chahiye:
Treatment of Chikungunya
Adhik se adhik pani peeye, ho sake to gunguna pani peeye.
Jyada se jyada aaram kare.
Chikungunya ke dauran jodo me bahut dard hota hai jiske liye doctor ki salah par Pain killer le.
Doodh se bane products, doodh-dahi ya kisi anya cheej ka sevan kare.
ROgi ko neem ke patto ko peeskar uska rus nikalkar de.
Rogi ke kapdo aur uske bistar ki saaf-safai par khas dhyan de.
Karela aur papita adhik se adhik khaye.
Chkungunya Ke Gharelu Upay-Nuskhe
1. Tulsi aur Ajwain
Tulsi aur ajwain bhi chikungunia ke upchar ke liye behad achi gharelu medician hai. Upchar ke liye ajwain, kishmish, tulsi aur neem ki sukhi pattiyo lekar ek gilas pani me ubal le. Is pey ko bina chhane din me 3 bar peeye.
Laung (Clove)
Dard wale jodo par lahsun ko peeskar usme lang ka tel milakar, kapde ki help se jodo par bandh de. Isase bhi chikungunia ke marijo ko jodo ke dard se aaram milega aur sharir ka Temperature bhi control hoga.
Lahsun aur Sajwain ki Fali (Garlic and Drum Stick)
Lahsun aur sajwain ki fali chikungunia ke ilaj ke liye bahut badhiya hai. Chikungunia me jodo me kafi dard hota hai, aise me sharir ki malish kiya jana behad jaroori hai. Iske liye kisi bhi tel me lahsun aur sajwain ki fali milakar tel garam kare aur is tel se rogi ki malish kare.
Papaya Leaf (Papite ki Patti)
Papite ki patti na keval dengue balki chikungunia me bhi kafi effective hota hai. Bukhar me sharir ke platelates teji se girte hai, jinhe papite ki pattiya teji se badhati hai. Matra 3 ghante me papite ki pattiya sharir me blood platelates ko badha deti hai. Upchar ke liye papite ki pattiyo se danthal ko alag kare aur keval patti ko peeskar uska juice nikal le. Do chamach juice din me 3 baar le.
Grapes (angur)
Angur ki gay ke gungune doodh ke sath lene par Chikungunia ke virus marte hai lekin dhyan rahe angoor beej rahit ho.
Carrot (Gajar)
Kachi gajar khana bhi chikungunia ke upachar me behad faydemand hai. Yah rogi ki immunity power ko badhati hai sath hi jodo ke dard se bhi rahat deti hai.
Epsom Salt
Epsom salt ki kuchh matra garam pani me dalkar us pani se nahaye. Is pani me neem ki pattiya bhi milaye. Aisa karne se bhi dard se rahat milegi aur temperature control hoga.