हेलो दोस्तों आज हम आपके लिए बहुत Achi Soch Shayari in Hindi with Images – अच्छी सोच शायरी लेके आये हैं जो आपके दिल को रूह बारह कर देंगे।
हमारे बहुत से shayri lover गूगल पर Achi Soch Quotes साथ में Images भी सर्च कर रहे हैं इसलिए आज un friends को खुश करने के लिए एक विराल sayari collections दे रहे हैं।
आप अगर इन शरीरी को किसी अपने को send करना चाहते हैं तो आप जरूर नीचे social networks के जरिये share कर सकते हैं। या फिर आप copy करके अपने love friends, lover या best friends के timeline पर भी share कर सकते हैं।
Shuk se bhi aksar khatm ho jate hai kuchh rishte,
kasoor har baar galtiyo ka nhi hota.
Koi khushiyo ki chah me roya,
koi dukho ki panaah me roya.
Ajeeb silsila hai ye zindagi ka,
Koi bharose ke liye roya
Koi bharosha karke roya.
Zindagi me kabhi udaas mat hona
kabhi kisi baat par niraash mat hona.
zindagi sangharsh hai chalti rahegi.
Kabhi apne jeene ka andaaj mat khona.
Har Subah ko apni saanso me rakho..
har sham ko apni baho me rakho..
Har jeet aapki muthhi me hai…
Bas manjil ko apni nigaho me rakho.
Khamosh palko se jab aanshu aate hai
Aap kya jane ki aap kitne yaad aate hai
Aaj bhi us mod pe khade hai…
Jha aapne kha tha thahro ham sabhi aate hai.
Jeet kiske liye haar kiske liye.
Zindagi bhar ye takraar kiske liye
Jo bhi aaya hai wo jayega ek din,
Fir ye itna ahankar kiske liye.
Jab aap kisi ko pasand karne lagte hai, to unki buraiya bhul jate hai,
jab aap kisi ko napasand karne lagte hai to unki khubiya bhul jate hai.
“Log kahte hai kisi ek ke jane se hamri zindagi ruk nhi jati,
Lekin
Yah koi nhi janta ke lakho ke mil jane se bhi us ek ki kami puri nhi hoti”;
Hansaati hai zindagi to kabhi rulaati hai zindagi,
Khushiyon se to kabhi gamo se milati hai zindagi,
Darkar jeena mushkil hai bahut batati hai zindagi,
Muskarakar jeete hai kaise ye sikhati hai zindagi.
Achi Soch Shayari in Hindi
- Diye se na pucho uski loo me tail kitna h
Saaso se naa pucho baki khel ab kitna h
Puchna hi hain toh uss murde se pucho,
Zindagi me dard or kafan me sukun kitna h
- Kismat ke aage jor hamesha chale jaruri toh nahi
Tamannaye lakh ho par sab puri ho jaruri to nahi
Keemat toh har kadam par sabko chukani padti h
Fir b zindagi ka har karz chuk paye jaruri toh nhi
- Jise samajh kr bhi na samjh paye wo h zindagi,
Jo gum ko khushi me badal paaye wo h zindagi
Hr annt ko nayi shuruwat de paye wo h zindagi
Jo apne paraye ki samjh kara paye wo h zindagi
Jis paheli ka kabhi hal na mil paye wo h zindagi
- Ho ke mayoos na yu sham se dhalte rahiye
Zindagi bhor hain suraj sa nikalte rahiye,
Ek hi paon pe thahroge toh thak jaoge,
Dhire-dhire hi sahi par raah pe chalte rahiye.
- Zindagi itni aasan nahi hoti,
Isey aasan banana padta hai,
Kuch Nazar-Andaz karke,
Kuch bardasht karke.
- Zindagi ke safar ki manzil hai maut,
Milti hai zindagi toh aati hai maut,
Hasna hai zindagi toh rona hai maut,
Chalna hai zindagi to rukna hai maut,
Har aashiq ki zindagi ki manzil hai maut.
- Lamho ki ek kitaab hain zindagi,
Saanso aur khyalo ka hissab hai zindagi
Kuch jarurate puri kuch khwaishe aduri
Bas inhi sawalon ka jawab hain zindagi.
- Sabhi ko sab kuchh nahi milta,
Nadi ki har lehar ko sahil nahi milta,
Yeh dil walo ki duniya hain dost,
Kisi se dil nhi milta to koi dil se nhi milta
- Haskar jeena dastoor hai jindagi ka
Ek yai kissa mashoor hai jindagi ka
Beete hue pal kabi laut kar nai aate
Yahi sabse bada kasoor h jindagi ka
- Khuda ne nawaja hume zindagi dekar,
Aur hum shohrat maangte reh gaye….
Zindagi gujar di humne shohrat k piche
Phir jeene ki mohlat maangte reh gaye
- Zara Si Zindagi Hai Arman Bahut Hain
Humdard Nahi Koi Insan Bahut Hain
Dil Ka Dard Sunaye To Sunaye Kisko
Jo Dil Ke Kareeb Hai Wo Anjan Bahut Hain
- Apni zindagi ka alag usool hain,
Pyar ki khatir to kante bhi qubool hai,
Hans ke chal du kaanch ke tukdo par,
Agar pyar kahe ye mere bichaye hue phool.
- Kuch hi palo me zindagi ki “Tasveer” ban jaati hain
Kuch hi palo me zindagi ki “Takdeer” badal jati hai
Kabhi kisi ko apna bana ke door mat mere dosto,
Kyuki ek hi judayi se puri zindagi bikhar jaati hain
- Insaan kahta h ki paisa aaye to main kuch karke dikhau
Aur paisa kahta h ki tu kuch karke dikhaye to main aau
- Bahut kuch sikha jati h zindagi
Hasa ke rula jati hain zindagi
Jee sako jitna utna jee lo dosto,
Kyuki bahut kuch baki rah jata h
Aur khatm ho jati hain zindagi
- So sukh pakar bhi sukhi na ho
Par ek gum ka dukh manata hain
Tabhi to kaisi karamaat h kudrat ki
Laash to tair jati hain pani mein
Par zinda aadmit doob jata hain
- Zindagi tasveer bhi h aur takdeer bhi
Fark to sirf rango ka hain,
Manchahe rango se bane to tasveer
Aur anjane rango se bane to takdeer
Read Here: Achi Soch Quotes in Hindi – 70 सर्वश्रेष्ठ अच्छी सोच अनमोल विचार
9 Comments
Nice soch ……sir hmara vi Ak soch foundations hai jo hm logo ko aachi aachi pato ko un Kay samay latay hai
Jivan ke har andhere me rosani
Jivan ki har andhere me rosani dikhaye hai aap
Band ho jate hai jab sare darwaje
Naya rasta dikhate hai aap
Sirf kitabi gyan hi nahi
Jivan jeena sikhate hai aap
Bato ko …..
Mujhe meri burai pichhe nahi chhorti
Please send me mail the wallpeper
Jab khuda ne duniya ko banaya hoga
Ek baat se jarur ghabraya hoga
Kaise rakhunga etani ladkiyo ka khayal
Tab usane sab kelia ek bhai banaya hoga.
very nice shayari
All line is so beautiful
Jay jagannath