प्रेग्नेंट होने के लिए कब करें सेक्स?

Sex Kaise Kare ki Pragnant Ho? Ek Mahila ki jab shadi hone ke 1 ya 2 saal tak koi bachha nhi hota to wah mahila har samay udaas rahti hai. Wah jab bhi kisi ke bachho ko dekhti hai to use bada sauk lagta hai, wah bhi sochti hai ki uska bhi koi cute sa bachha ya bachhi ho. So reader koi problem nhi aapko aaj ham yah batane ja rahe hai ki aap sex kab kare jisase aap bhi maa ban sakti ho. Hamane pahle aapke liye ye article likha tha ki garbhwati pregant hone ke liye kaise kare sex? To hamare bahut se friends ka yah question tha ki actually pregnant hone ke liye kab sex kare? so ye hai aapka reply…

Pregnant Hone Ke Liye Kab Kare Sex Kaise Kare KI Bachha HO
Pregnant Hone Ke Liye Kab Kare Sex

गर्भधारण करने के लिए कब करना चाहिए सेक्स

Aamtaur par MC 28 din yani 4 hafte ki hoti hai par kai mahilao me ye isase kam ya jyada bhi ho sakti hai.

MC duration ki normal range kya hai?

Adults me MC 21 se 35 dino tak ho sakta hai.

Teenagers (13 se 19 saal ki age) me ye 21 se 25 dino tak ho sakta hai.

Darasal, aapke andar ke hormones ke badlaw ke hisaab se MC ka duration ghat-badh sakta hai. Yadi aapki manstual cycle is range me nhi hai to aapko kisi Gynecologist se milna chahiye.

Mujhe apni Menstrual cycle ki duration nahi pata hai, mai kya karu?

Agar aapko ye nhi pata hai to aapko kuchh mahine tak study karna hoga ki aapke periods kab-kab aate hai. Aapki MC aapke periods ke pahle din se shuru ho jati hai aur aapke agla period shuru hone se 1 din pahle tak chalti hai.

For Example:

Agar kisi ke period ka pahla din hai: 5 March

Aur uska agle period ka pahla din hai : 8 April

To MC ka pahla din hua 5 march aur aakhiri din hua 7 April (Agle period shuru hone se just 1 din pahle)

Yadi aap 5 March se 7 April tak count kare to kuchh 34 din hote hai, yadi aapki MC hui 34 din ki. Aise hi aapko kuchh mahino tak check karte rahna hoga ki aapki periods kab-kba aa rahe hai aur usi aadhar par aapko moti-mota pata chal jayega ki aapka MC kitne dino ka hai aur ek period khatm hone ke kitne din baad dusra shuru hoga.

Note: Agar aap apna MC pata kar rahi hai to apne periods ki date ko Diary me likh lena thik rahega.

Chaliye ab aate hai apne main question par:

Pregnant hone ke liye kab kare Sex?

Aap sabse jyada fertile (Garbhwati hone Yogya) Ovulation ke time hoti hai. Ovulation ka time, yani wo time jab aapki ovaries (Andashay) me se eggs nikalte hai. Aam taur par aisa agla period shuru hone ke 12 se 14 din pahle hota hai. Is Time sex karne par pregnant hone ki sabse adhik sambhawna hoti hai.

Example 1:

Aapka period shuru hua 10 December ko, aur aap janti hai ki aapke MC ki age lagbhag 28 din ki hai to ab aap 10 tareekh ko shamil karte huye 28 din jod lijiye, Yani aapka ye MC khatm hoga 7th October ko, aur aapka agla period aayega 8th October ko.

Is hisaab se agar aap 8 october se 12 se 14 pahle, yani 24 se 26 september ke dauran sex kare to garbhwati hone ki sabse adhik sambhawna hai.

Example 2:

Aapka period shuru hua 15 June ko aur aapka MC duration hai 30 din ka to aap 15 june ko incluse karte huye 30 din count kariye yani aapka ye MC khatm hoga 14 july ko aur ab agla period aane ki probability hai 15 july ko to iska matalb ye hua ki aapka ovulation ka time hua 1 se 3 july (15 july se 12 se 14 din pahle) ke aas paas. Yani pregnant hone ke liye in teen dino ke dauran sex karna thik rahega.

Example 3:

Aapka period shuru hua 35 may ko aur aapka MC duration hai 23 din ka to aap 25 may ko incluse karte huye 23 din count kariye; yani aapka ye MC khatm hoga 16 june ko aur agla period shuru hone ki sambhawna hai 17 June ko to iska matlab hua ki aapka ovulation ka time hai 3 june se 5 june ke aas paas. Yani pragnant pragnant hone ke liye in teen dino ke dauran sex karna thik rahega.

Period khatm hone ke thik baad pregnant hone ki sambhawna kam hoti hai, halaki tab bhi kuchh gunjais bani rahti hai. Aisa isliye hota hai kyunki male sperms sex karne ke 7 din baad tak zinda rah sakte hai. Iska matalab agar aapka MC duration bahut chhota hai aur aap apne period ke turant baad ovulate kar de to aap pregnant ho sakti hai. Aise me jo couples pregnant nhi hona chahte unhe is dauran bhi protection lena chahiye.

Pregnant hone ke bare me kin conditions me hame doctor chahiye:

Yadi aap 1 saal se try kar rahi hai aur fir bhi pregnant nahi ho pa rahi hai.

Yadi sex ke baad bleeding ki problem hai.

Yadi ek period khatm hone ke baad aur dusrashuru hone ke beech me bhi bleeding hoti hai.

Yadi aap 36 saal se adhik aage ki hai.

Yadi aapko aisi koi problem hai jo aapki fertility effect kar sakti hai.

Yadi aapke partner me is tarah ki koi problem ho mujhe abhi bhi samajh nhi aaya ki pregnant hone ke liye kab sex kiya jay?

Koi baat nahi, aap akele nhi hai, Bahut logo ko ise lekar confusion bana rahta hai. Aap aisa kariye ki 2 mahine tak har 2-3 din me 1 baar sex kariye aur apne aap hi ovulation ke dauran sex ho jayega aur aapke pregnant hone ka chance badh jayega.

Read These Articles:

मेरा नाम कुलदीप पंवार है में चंडीगढ़ का रहने वाला हूँ। achisoch पर आपको Self improvement, motivational, Study tips के अलावा Health, Beauty, relationship की भी जानकारी देने की कोशिश करता हूँ।। किसी भी टिप्स या नुस्खे को आजमाने से पहले आप अपने डॉक्टर से जरूर जानकारी लें। मेरा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है।

34 COMMENTS

  1. hello mare wife period date 22 october hai or pichli bar usko 21 september ko period hue the likin mne uske sth 28 september ko sex kia likon fir bi vo pregent ni hui to m kb sex karu jisse mre wife pregent ho jye plz i rquest you tell me plz

  2. mre wife ki 22 october ko periods aya h or pichli bar 21 september ko aya tha pr mne 28 september ko sex kia tha likin vo pregent ni hui to ab kb sex karu jisse vo pregent ho jye plz mje btye plz

  3. Kisi ladki ko ek mahne ke pregnancy giranee ke baad aor bleeding sukhne ke baad ladki ko sambhog karne se kya ladki pregnant ho sakti hai?

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here