Office Kaam-Kaaj Ke Sath Kaise Bachho Ki Jimmedari Care Kare

Office Ke Sath Kaise Bachho Ki Care Kare: Aajkal jha tak  mahilao ki baat hai har field me mahilao ko priority di ja rahi hai. Aap IT fields ho ya Marketing har jagah ladkiya Mahilaye kaam me dikh rhi hai. Har mahila ko apne sath sath apne bachho ki bhi care karni hai jisase unke life me koi problem nhi ho. Kaamkaaji mahilao ko office aur bachho ki jimmedari ke beech talmel bithane aana chahiye.

Office Kaam-Kaaj Ke Sath Kaise Bachho Ki Jimmedari Care Kare
Office Kaam-Kaaj Ke Sath Kaise Bachho Ki Jimmedari Care Kare

Office Ke Sath – Sath Bane ek Achi Maa

Kamkaaji mahilao ko hamesha office aur bacho ki zimmedari ke beech talmel bithane me mushil hoti hai. Agar wo bacho ka dhyan rakhti hai to office ke kaam chhutne lagte hai aur agar office ke kaam ko jyada priority de to bachho ko pura time nhi de pati hai. Lekin hesitate nhi ho in mushkil ke beech bhi aap khud ko sthir kar bacho aur office ki zimmedariyo ko bakhoobi nibha sakti hai. Aaiye jane kaise?

Priority Tay Kare

Sabse pahle to ye jaroori hai ki aap is baat par confirm rahe ki aakhir aap apni priority suchi me sabse uppar kya rakhti hai? yadi aapki priority suchi me sabse uppar bacha hai to fir is baat par vichar kare ki bache ki dekhbhal ke bare me aap kin kin cheejo par dhyan dengi aur kis sima tak uske sath samjhota kar sakti hai.

Planning Kare

Kamkaaji mahilao ko planning ke sath kaam karna aana chahiye. Apne har kaam ki yojna banaye jisase aapka samay barbaad na ho aur na hi aap par dabab bane.

Santulan Banaye

Yadi aap apne kam se bhi pyar karti hai to bache se samabadhit apni nai zimmedari ke sath kisi bhi tarah apne kaam ka balance banana chahti hai to is baat par imtinan se gaur kare ki kya waki aapka sport system itna acha hai ki aap us par bharosha kar sakti hai.

Soch – Samajh kar Office Ka Chunaw Kare

Iske sath hi shuruwati saalo me aap ye koshish bhi kar sakti hai ki kisi aisi company me kaam kare, jha ek maa ke tarur par aapki zimmedari ke prati bhi sanvedanshilta barti jati ho. Kaam ke ghante apekshkrit kam aur office ka time thoda lachola ho. Yadi is tarah ki suvidha aur freedom aapko milti hai to aap bahut imtinaan se dono ke beech santulan bana sakti hai, lekin yadi aisa nhi ho pata hai to aapko khud par bharosha rakhna hoga.

Help Le

Agar aap muljul kar kaam karengi to nishchay hi kaam jaldi khatm hoga aur aap bhi relax rahengi. Ghar ke kaamo me pati ki ya anya kisi ki help lene se na hichke. Sara kaam akele hi karne ki koshish me aap jald hi thak jayengi aur bachho ko time nhi de payengi.

Office Me Lagatar Kaam Na Kare

Office me bhi lagatar kaam na kare. Kuchh der apne Colleagues ke sath chai-coffee piye aur bate kare. Isase aapka tanav kam hoga.

Weekend me Khud Khali Rakhe

Bacho ko weekend par badi besabri se intejaar hota hai kyunki is time we aapke sath ho sakte hai. Weekend par khali rahne ke liye hafte me har din Chhote-chhote kaam nipta le. Jisase aap chhutti ke din bachha ke sath pura time spend kar sake.

Technique ki Help Le

Aajkal market me kai aisi cheeje available hai jo khas kar kaamkaji maa ko khyal me rakhkar banai gai hai. Ye cheeje aapke kaam ko kam karne me aapki help kar sakti hai. Inke use se aapka time bhi barbaad nhi hota.

Bacho ke Dincharya ke Bare me Baat Kare

Parents ke busy pan ke chalte bachho me padhi ke prati aruchi paida hoti hai. Unka shaikshik record kharab hone lagta hai. Aise me bache par mansik dabab banane se behtar hai ki use adhik se adhik time dene ke sath baatchit ka dayra badhaye. Uske school, dosto aur dincharya par charcha kare.

Ghar jaldi Lote

Agar aapke office ki zimmedari jaldi khatm ho jaye to ghar jaldi aakar bacho ke sath time bitaye. Har roj apne ghar aane ka time fix kare jisase aap us time tak apne sabhi kaam nibta sakengi aur bacho ke sath time bhi bita payengi.

मेरा नाम कुलदीप पंवार है में चंडीगढ़ का रहने वाला हूँ। achisoch पर आपको Self improvement, motivational, Study tips के अलावा Health, Beauty, relationship की भी जानकारी देने की कोशिश करता हूँ।। किसी भी टिप्स या नुस्खे को आजमाने से पहले आप अपने डॉक्टर से जरूर जानकारी लें। मेरा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है।

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here